Dua 2 (ramzan)
Ya Allah hum sab musalmano par apna khaas karam rakhna.
Humare rozay aur ibadaat qubul farmana.
Jo log naik raste se bhatak chuke hain onhe hidayat dena mere parwardigaar.
Ya Allah talah hume namazi parhaizgaar bna.
Ya Allah hume aik sacha momin bna de.
Ay Allah bimmaar ko shifa dede, kamzoor ko sehat dede.
Ay Allah dunya k ksi bhi hissay main agar koi musalmaan pareshan hai oski pareshaniya duur frmaana.
Jis ksi ka bhi koi apna ose chor gya hai ose himmat aur sabar ata farmana.
Jo mali masail se do chaar hai os k masail hal karna os k rizq main kasrat peda krna.
Ya Allah hume naik tofeeq ata farma.
Ya mola jin mumalik main garmi hai wahan apni rehmat ki barish barsa.
Ay mere Allah jo shadi shuda joray masail se do chaar hain on k sab masle hal krna, jo aulaad se mehroom hain onhe sahib e aulad bna, jin k bache na farmaan hain onhe seedha rasta dikha, jin ki aulaad mushkil mai hain onki mushkilaat asan kr de, jin ki aulad mazoor hai onhe jald sehatyaab krna.
Mere Allah hum sab ko dusron k liye dua krne wala bana.
Hasad, gheebat jese gunahon se bacha.
Amanat mai khayanat se bacha.
Ay Allah jin k maa baap zaeef hain onhe on k burhapay ka sahara bana. Jin k maa baap beemaar hain onhe jald sehat ,tabdrusti ata farmaa, jin k maa baap pareshan hain onki pareshaniyan hal krde. Jin k maa baap ab is dunya mai nahin on k darjaat buland frma.
Ya Allah hume aik kamil momin bana.
Sacha aur acha musalman bana.
Namazi aur ibadat guzaar bana.
Ya mere khuda jo log qarzon main duubay hain on k liye asaani peda kr. On k liye jaiz raste kholde.
Ya Allah jo is dua ko parhe aur isay agay barhaae ose jazae khair ata farma, oski sari mushkilaat,pareshaniya duur frmaa, onhe sehat k sath lambi zindagi ata farma, on k mali mamlaat mai asani kr, on k rizq mai barkat daal, on mai sabar shukar ki tofeeq ata farma.
Ya Allah jo is dunya main nahin onhe jannat main ala muqaam ata farmaa. On k gunah muaaf farmaa, on par apna khaas karam rakh, onhe qabar k azaab se bacha.
Ya rabul alameen hume nekiyat krne tofeeq ata farma, hume sachaai k raste par chala, hume shaitaan k waswason se bacha.
Mere Allah is ramzaan sab musalmaano ko aik krde.
Ya Allah hme Hajj o Umrah ki sadat ata farma.
Allah Talah dunya bhar main muslmano pr kiye jane wale zulm aur ziaddti ka khatma krna.
Hum sab ko apne hifz o amaan main rakhna.
Hume dunya aur akhirat ki kamiyaabi ata farma.
Hum sab ko jannat naseeb farmaa.
AMEEN SUM AMEEN.!!

plz send me pdf
ReplyDelete