Dua 3 (Ramzan)

Hum dunya k liye tou bohot si duaain mangte hain. Bohot si asaishon ki tamanna krte hain. Rupia,pesa,jaan, maal, shadi, aulaad, dolat,shohrat,izzat,aram,chain,sukun,khubsurti sab ki dua hum mangte hain. Aj apni Akhirat ki dua krte hain. Humara akhiri aur ehem thikana.

Ameen zaror bolyega.
*Ay rabbul izzat qabar k pehle teen sawalon ko humare liye asaan krna.
* humari zindagi k akhri aukaat Allah aur rasul k naam par khatam hon.
* Ay Allah hme akhri saans mai kalma naseeb krna.
*Ya Allah hume qabar k azaab se bachana.
*ya Allah humari qabar ko koshada krna.
* Ya Allah humari qabar ko roshan krna.
* Ya Allah hume qabar ki garmi se bachana.
* Ay Allah marne se phle hume humare sare udhaar, qarz utarne ki tofeeq ata farmana.
*Ya Allah mrne se phle hume panch wqt ka paband namazi banana.
*Ya Allah humare chote chote gunahon ko muaaf frmana.
*Ay parwardigaar humare liye jannat k drwaze kholna.
*Hum se phle jo musalmaan apne khaloq e haqiqi se ja mile hain on ka safar asaan farmana.
*Humare piyare jo inteqaal kr gae hain on par rehem farmana, on ko qabar k azab se bachana. On k gunah muaaf frmana.
* Ay Allah humare baad bhi dunya main ese musalmaan rakhna jo humare liye dua karain.
* Ya Allah hume apne maa baap k liye aur humari auladon ko humare liye Sadqa e jaria banana.
* mere mola jo ghaltiyan aur gunah hum kar chuke hain wo humse dubara na hon.
* hume seedhay raste pr chala. Haq k rasta humara muqaddar bana.
* Ay Allah hume shaitan k waswason se bacha aur har mor par hume Quran O hadees par Amal krne ki tofeeq ata farmaa
.
* Ya Allah humari akhirat ki zindagi ko haseen bana.
*hume jehennum ki aag se bacha.
*dunya k har mamle mai sabar aur shukar ki tofeeq ata farmaa.
*Aur hume dunyawi jhanjhaton se azaad farma.
Ya Rabul Alameen jisne Yeh dua parhi, suni aur agay mutaqil ki ose naik hidayat ata farmaa, oski sari jaiz khuahishat qubul farma, aur oski nekiyon ko dugna kr de.
Ameen Summ Ameen!




Comments

Popular posts from this blog

Dua 2 (ramzan)

Dua (Ramzan)