Posts

Showing posts from June, 2017

Dua 3 (Ramzan)

Image
Hum dunya k liye tou bohot si duaain mangte hain. Bohot si asaishon ki tamanna krte hain. Rupia,pesa,jaan, maal, shadi, aulaad, dolat,shohrat,izzat,aram,chain,sukun,khubsurti sab ki dua hum mangte hain. Aj apni Akhirat ki dua krte hain. Humara akhiri aur ehem thikana. Ameen zaror bolyega. *Ay rabbul izzat qabar k pehle teen sawalon ko humare liye asaan krna. * humari zindagi k akhri aukaat Allah aur rasul k naam par khatam hon. * Ay Allah hme akhri saans mai kalma naseeb krna. *Ya Allah hume qabar k azaab se bachana. *ya Allah humari qabar ko koshada krna. * Ya Allah humari qabar ko roshan krna. * Ya Allah hume qabar ki garmi se bachana. * Ay Allah marne se phle hume humare sare udhaar, qarz utarne ki tofeeq ata farmana. *Ya Allah mrne se phle hume panch wqt ka paband namazi banana. *Ya Allah humare chote chote gunahon ko muaaf frmana. *Ay parwardigaar humare liye jannat k drwaze kholna. *Hum se phle jo musalmaan apne khaloq e haqiqi se ja mile hain on ka safar asaan...

Dua 2 (ramzan)

Image
Ya Allah hum sab musalmano par apna khaas karam rakhna. Humare rozay aur ibadaat qubul farmana. Jo log naik raste se bhatak chuke hain onhe hidayat dena mere parwardigaar. Ya Allah talah hume namazi parhaizgaar bna. Ya Allah hume aik sacha momin bna de. Ay Allah bimmaar ko shifa dede, kamzoor ko sehat dede. Ay Allah dunya k ksi bhi hissay main agar koi musalmaan pareshan hai oski pareshaniya duur frmaana. Jis ksi ka bhi koi apna ose chor gya hai ose himmat aur sabar ata farmana. Jo mali masail se do chaar hai os k masail hal karna os k rizq main kasrat peda krna. Ya Allah hume naik tofeeq ata farma. Ya mola jin mumalik main garmi hai wahan apni rehmat ki barish barsa. Ay mere Allah jo shadi shuda joray masail se do chaar hain on k sab masle hal krna, jo aulaad se mehroom hain onhe sahib e aulad bna, jin k bache na farmaan hain onhe seedha rasta dikha, jin ki aulaad mushkil mai hain onki mushkilaat asan kr de, jin ki aulad mazoor hai onhe jald sehatyaab krna. Mere Allah...