Choti ghaltiyaan (Ramzan)
Jane anjane main hum Ramzaan main bohot si choti aur aam si ghaltiyan kr jate hain jo behraal ghalat bhi hain aur issay kafi burai bhi phelti hai. 1. Bila wajah rozay chorna. ( Garmi ziada hai mai roza nahin rakh skta... hum yeh bhul jate hain k hum naik neyat b krain tou Allah asaani peda krta hai. ) 2. Aftari k liye alag alag pkwan hona. ( Ya koi maqsoos khane ki cheez ka lazim hona. Rozay ka mtlb ye nahin k ap srf aftaar k liye roza rakhain. Ya apne upr lazim krlain k aftaari bnawani ya bnani hai. Khajoor pani b kaafi hai bal k sunnat hai.) 3. Apna mood kharab rakhna pura din ( kiun k apka roza hai. Roza to zaban ka b hota hai, roza tou ache kaam krne ka naam b hai, rozay mai bardasht, sabar ka bhi hukum hai. Kia ap roza rakh kr, apna mood kharab rakh k ksi pr ehsaan kr rhe hain?) 4. "Roza lag rha hai" (yeh bohot hi aam baat hai aj kal. Har ata jata insaan yeh bol deta hai, khuah wo mazaq mai bola ho ya ghusse main ya haqeeqatan ho.. Roza hum Allah k liye rakh...