Dua (Ramzan)

Hum mai se bohot se log aftaar se phle dua krna bhuul jate hain, ya phir on logon ko aram se beth kr hath phela k apne rab se mukhatib hone ka moqa hi nahin mil pata. Aiye aj hum sab mil kar is ba barkat maheenay main dua krain.

Dua achi lage tou agay mutaqil kijiyega.

Ay Allah Hum sab musalmano ko is maheenay ki sari nematain ata farmana. Hum sab musalmano ko rozay rakhne ki, 5 waqt namaz ki aur quran prhne ki tofeeq ata farmana.
Ya Allah wo ghareeb, miskeen, yateem jinko ksi bhi tarhan ki tangi hai on k liye asaani
ata farmana.
Ya mere Allah wo log jo beemar, zaeef, kamzoor hain onhe sehat tandrusti k sath lambi zindagi ata farma.
Ya parwardigaar wo log jo kisi museebat main hain, jin k bohot se kaam atke hue hain on k kaam/mamlaat is maheenay ki brkat se hal karwana.
Ay khuda wo log jin k pas kehne ko tou sab hai rupiya pesa jaidad lekin khushiyan nahin onhe khushiyan naseeb krna, onhe sukun ata frma, onki zindagiyon ko asaan frma
Allah wo log jo din bhar kaam krte hain srf is liye k on k bachay, biwi, maa ,baap do waqt ki roti kha paain on k liye bhi asaani ata kr.
Prwardigaar wo khawateen jin ki goad ab
tk sooni hai on ko aulaad naseeb kr.
Ya Moula wo log jo ksi hadse ka shikar hain on k dil mazboot kr.
Ya Allah is shidat ki garmi mai thori kami kar. Hum gunah garon k gunahon ko maaf kr k hum par rehmat ki barish barsaa.
Ya Mere Khuda jis ne is maheenay main achi baat dusron ko btaai, dusron k liye sulah rehmi ki, dusron k liye dua ki on k har mamle main asaani krna.
Ya Allah jisne is dua ko parha, aur agay barhaya ose jazae khair ata farmaa.
Ya Allah Talah humari har jaiz, mumkin khuahish/dua qubuul farmana aur hume sabar shukar krne ki tofeeq ata farmaa.
Hum sab musalmano ko Hajj o Umra ki sadat naseeb kr. Aur humari sari ibadaat ko qubul frma.
Hume aur humare bachon ko apne maa baap k liye sadqa e jariya bna.
Humare dilon ko khol de. Hume mazboot krde. Hum mai bardasht, sabar kuut kuut k bhar de ta k hum mazloom se kahin zalim na ban jain.
Ya Allah kabhi humne ksi ka dil dukhaya ho , kisi ko bura kaha ho ya koi jhoot kaha ho ose muaaf frma. Hume shaitaan k
waswason se bacha.
Hume neki ki rah par chala. Hume, humari phle ki naslain aur ane wali naslain ,sab ko sacha ,acha musalmaan bna, namazi parhaizgaar bana.

AMEEN.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dua 2 (ramzan)

Dua 3 (Ramzan)