Choti ghaltiyaan (Ramzan)

Jane anjane main hum Ramzaan main bohot si choti aur aam si ghaltiyan kr jate hain jo behraal ghalat bhi hain aur issay kafi burai bhi phelti hai.

1. Bila wajah rozay chorna.
( Garmi ziada hai mai roza nahin rakh skta... hum yeh bhul jate hain k hum naik neyat b krain tou Allah asaani peda krta hai. )

2. Aftari k liye alag alag pkwan hona.
( Ya koi maqsoos khane ki cheez ka lazim hona. Rozay ka mtlb ye nahin k ap srf aftaar k liye roza rakhain. Ya apne upr lazim krlain k aftaari bnawani ya bnani hai. Khajoor pani b kaafi hai bal k sunnat hai.)

3. Apna mood kharab rakhna pura din
( kiun k apka roza hai. Roza to zaban ka b hota hai, roza tou ache kaam krne ka naam b hai, rozay mai bardasht, sabar ka bhi hukum hai. Kia ap roza rakh kr, apna mood kharab rakh k ksi pr ehsaan kr rhe hain?)

4. "Roza lag rha hai"
(yeh bohot hi aam baat hai aj kal. Har ata jata insaan yeh bol deta hai, khuah wo mazaq mai bola ho ya ghusse main ya haqeeqatan ho.. Roza hum Allah k liye rakhte hain. Shikayaton k sath krainge tou kia Allah ko pasand aega? Apse nahin rakha ja rha ap chor do yeh keh kr apko kia hasil hua? Ulta nuqsaan uthaya.)

5. Ramzan k akhri ashre main eid ki shopping krna.
( Jab k akhri ashra sab se zaroori hota hai rozadaar k liye, musalmano k liye.)

6. Sehri main halka phulka khane k bajaae  heavy khanay khana.
(Aur kha pi k namaz prh k so jana.)

7. Sehri tak jagna. Sehri kr k baghair namaz parhe so jana.
(Sunnat pr amal kr k farz ko chor dena.)

8. Sehri, aftari k waqt TV dekhna.
( Ramzan ibadaton ka maheena hai TV tou sara saal chalta rehta hai. )

9. Roza rakh kr b gheebat krna.
( hum Bhool jate hain k hum rozay se hain. )

10. Aftaar party pr beja kharcha,
(khanay ka ziya. Ibadat k bajaae batain, dua k bajae gheebatain.)

11. Quran parhne k bajae dusron se competition rakhna.
( Apni ibadat k bajae dusre k amal pr nazar rakhna.)

12. Roza rakh k din bhar aram krna
(ya din bhar sona. Roza hai ya faqa?)

13. Fajar ki azaan ho rhi ho tab bhi khana ya pani pina
( aur kehna k Allah qubool karne wala hai. Sehri ka waqt azan se kafi dair pehle khatm ho chuka hota hai.)

14. Maghrib ki azan khtam ho jane pr bhi kuch na khana.
( Azan hote hi roza kholna chahiye.)

15. Din bhar aftari, khane, sehri ka bare mai sochna aur banana.


Comments

  1. G ma sha Allah good think share ki sb k sath Allah apko aur hum sb ko amal krne ki tofeeq de.amèeeeeen

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Dua 2 (ramzan)

Dua (Ramzan)

Dua 3 (Ramzan)