Choti choti nekiyan (Ramzan)
Sara sal tou hum ghalat kamo,galiya,laraiyon main nikaal dete hain lekin Ramzaan mai hum chahain tou bohot si nekiyaan kama skte hain. Kaam bara ho ya chota hum dil se karain tou kiun nahin qubul hoga.
Namaz, roza, zakat, quran k baad wo kaam jo ap k dil ko tasalli b dainge aur ap k Rab ko razi b karainge.
1. Apne aftaar k sath ksi aik ghareeb ko b aftaar krwaain aur otna hi jitna ap krte hain na ziada na kam.
2. Roz sadqa nikaalain bhale 1 ya do rupa hi sahi lekin zaroor nikaalain.
3. Farz namaz k baad aik tasbeeh astaghfaar ki.
4. Hafte main aik baar koi tofa ksi ghareeb/ghareeb bachay ko dain, bhale wo kiun na koi khane ki cheez ho ya pehenne orhne ki, ya phr q na wo koi khilona hi koun na ho.
5. Kuch bhi bolne se pehle aik baar sochain. Kahin ap koi ghalat baat tou nahin krne wale hain? Kahin ap koi kharab alfaz tou nahin istemaal krne wale hain? Kahin ap k alfaaz se sunne wale ko koi takleef tou nahin pohchegi?
6. Apne ghr k bahar,ya chhat pr bartan mai pani bhar k rakh dain ta k guzarta hua koi b janwar ap k ghr se piyasa na guzre.
7. Waqt ho tou apne ghr k ya ghr se bahar k podon,darakhton ko pani dain.
8. Choti choti surtain, ya duaain yaad krain. Ahadees prhain ya quran tarjume k sath prhain.
9. Har roz ache naye kamo ki list bnaain aur jese jese hote jain onhe tick lagate jaain.
10. Sirf apna apne ird gird walon ka hi khyal na rakhain bal k jo log apne khaliq e haqiqi se ja mile hain on ko b kuch na kuch prh k bakhshwaain. Aur sirf apne jaane walon ko nahin wo wo log jin ko ap jante the,dekha tha.
Allah esi choti choti nekiyon ko zaroor qubul karega aur yehi choti nekiyan ap k amaal ka palra bhari krdega ga.
Allah ap ki har jaiz dua qubul farmaae .
Ameen!

Good on you sundus very nice MashAllah
ReplyDeleteNi
ReplyDeleteAgr niyaat hooto insaan kuch bhi kar sakta hay bass sabbsey pheley uski niyaat hoo
ReplyDeleteSo true..kaam chota ho ya bara bas har insan Ki achi neeyat honi chahiye😊
ReplyDelete