Posts

Dua 3 (Ramzan)

Image
Hum dunya k liye tou bohot si duaain mangte hain. Bohot si asaishon ki tamanna krte hain. Rupia,pesa,jaan, maal, shadi, aulaad, dolat,shohrat,izzat,aram,chain,sukun,khubsurti sab ki dua hum mangte hain. Aj apni Akhirat ki dua krte hain. Humara akhiri aur ehem thikana. Ameen zaror bolyega. *Ay rabbul izzat qabar k pehle teen sawalon ko humare liye asaan krna. * humari zindagi k akhri aukaat Allah aur rasul k naam par khatam hon. * Ay Allah hme akhri saans mai kalma naseeb krna. *Ya Allah hume qabar k azaab se bachana. *ya Allah humari qabar ko koshada krna. * Ya Allah humari qabar ko roshan krna. * Ya Allah hume qabar ki garmi se bachana. * Ay Allah marne se phle hume humare sare udhaar, qarz utarne ki tofeeq ata farmana. *Ya Allah mrne se phle hume panch wqt ka paband namazi banana. *Ya Allah humare chote chote gunahon ko muaaf frmana. *Ay parwardigaar humare liye jannat k drwaze kholna. *Hum se phle jo musalmaan apne khaloq e haqiqi se ja mile hain on ka safar asaan

Dua 2 (ramzan)

Image
Ya Allah hum sab musalmano par apna khaas karam rakhna. Humare rozay aur ibadaat qubul farmana. Jo log naik raste se bhatak chuke hain onhe hidayat dena mere parwardigaar. Ya Allah talah hume namazi parhaizgaar bna. Ya Allah hume aik sacha momin bna de. Ay Allah bimmaar ko shifa dede, kamzoor ko sehat dede. Ay Allah dunya k ksi bhi hissay main agar koi musalmaan pareshan hai oski pareshaniya duur frmaana. Jis ksi ka bhi koi apna ose chor gya hai ose himmat aur sabar ata farmana. Jo mali masail se do chaar hai os k masail hal karna os k rizq main kasrat peda krna. Ya Allah hume naik tofeeq ata farma. Ya mola jin mumalik main garmi hai wahan apni rehmat ki barish barsa. Ay mere Allah jo shadi shuda joray masail se do chaar hain on k sab masle hal krna, jo aulaad se mehroom hain onhe sahib e aulad bna, jin k bache na farmaan hain onhe seedha rasta dikha, jin ki aulaad mushkil mai hain onki mushkilaat asan kr de, jin ki aulad mazoor hai onhe jald sehatyaab krna. Mere Allah

Choti ghaltiyaan (Ramzan)

Jane anjane main hum Ramzaan main bohot si choti aur aam si ghaltiyan kr jate hain jo behraal ghalat bhi hain aur issay kafi burai bhi phelti hai. 1. Bila wajah rozay chorna. ( Garmi ziada hai mai roza nahin rakh skta... hum yeh bhul jate hain k hum naik neyat b krain tou Allah asaani peda krta hai. ) 2. Aftari k liye alag alag pkwan hona. ( Ya koi maqsoos khane ki cheez ka lazim hona. Rozay ka mtlb ye nahin k ap srf aftaar k liye roza rakhain. Ya apne upr lazim krlain k aftaari bnawani ya bnani hai. Khajoor pani b kaafi hai bal k sunnat hai.) 3. Apna mood kharab rakhna pura din ( kiun k apka roza hai. Roza to zaban ka b hota hai, roza tou ache kaam krne ka naam b hai, rozay mai bardasht, sabar ka bhi hukum hai. Kia ap roza rakh kr, apna mood kharab rakh k ksi pr ehsaan kr rhe hain?) 4. "Roza lag rha hai" (yeh bohot hi aam baat hai aj kal. Har ata jata insaan yeh bol deta hai, khuah wo mazaq mai bola ho ya ghusse main ya haqeeqatan ho.. Roza hum Allah k liye rakh

Dua (Ramzan)

Image
Hum mai se bohot se log aftaar se phle dua krna bhuul jate hain, ya phir on logon ko aram se beth kr hath phela k apne rab se mukhatib hone ka moqa hi nahin mil pata. Aiye aj hum sab mil kar is ba barkat maheenay main dua krain. Dua achi lage tou agay mutaqil kijiyega. Ay Allah Hum sab musalmano ko is maheenay ki sari nematain ata farmana. Hum sab musalmano ko rozay rakhne ki, 5 waqt namaz ki aur quran prhne ki tofeeq ata farmana. Ya Allah wo ghareeb, miskeen, yateem jinko ksi bhi tarhan ki tangi hai on k liye asaani ata farmana. Ya mere Allah wo log jo beemar, zaeef, kamzoor hain onhe sehat tandrusti k sath lambi zindagi ata farma. Ya parwardigaar wo log jo kisi museebat main hain, jin k bohot se kaam atke hue hain on k kaam/mamlaat is maheenay ki brkat se hal karwana. Ay khuda wo log jin k pas kehne ko tou sab hai rupiya pesa jaidad lekin khushiyan nahin onhe khushiyan naseeb krna, onhe sukun ata frma, onki zindagiyon ko asaan frma Allah wo log jo din bhar kaam krte hain

Choti choti nekiyan (Ramzan)

Sara sal tou hum ghalat kamo,galiya,laraiyon main nikaal dete hain lekin Ramzaan mai hum chahain tou bohot si nekiyaan kama skte hain. Kaam bara ho ya chota hum dil se karain tou kiun nahin qubul hoga. Namaz, roza, zakat, quran k baad wo kaam jo ap k dil ko tasalli b dainge aur ap k Rab ko razi b karainge. 1. Apne aftaar k sath ksi aik ghareeb ko b aftaar krwaain aur otna hi jitna ap krte hain na ziada na kam. 2. Roz sadqa nikaalain bhale 1 ya do rupa hi sahi lekin zaroor nikaalain. 3. Farz namaz k baad aik tasbeeh astaghfaar ki. 4. Hafte main aik baar koi tofa ksi ghareeb/ghareeb bachay ko dain, bhale wo kiun na koi khane ki cheez ho ya pehenne orhne ki, ya phr q na wo koi khilona hi koun na ho. 5. Kuch bhi bolne se pehle aik baar sochain. Kahin ap koi ghalat baat tou nahin krne wale hain? Kahin ap koi kharab alfaz tou nahin istemaal krne wale hain? Kahin ap k alfaaz se sunne wale ko koi takleef tou nahin pohchegi? 6. Apne ghr k bahar,ya chhat pr bartan mai pani bhar k